josh par apni mastiyan aain

josh par apni mastiyan aain
yaad kis ki ye shokhiyan aain

baaton baaton mein le liya dil ko
tumhein kyun-kar ye phurtiyan aain

kahin un ko na yaad aaya hun
aaj kyun mujh ko hichkiyan aain

donon aalam hue tah-o-baala
un ko kyun khush-khiramiyan aain

ruk raha dam jo aa ke aankhon mein
yaad kis but ki ankhdiyan aain

baal khole naha rahe the wo
kya hi ghir ghir ke badliyan aain

tum jo soe to talwe sahlane
meri aankhon ki putliyan aain

phir lagate ho mehndi hathon mein
yaad phir rang-reliyan aain

josh-e-wahshat ke din phir aa pahunche
muzhda ai dil ki bediyan aain

pad gaya hath jab gareban par
hath do-chaar dhajjiyan aain

nakhl-e-ummid barwar na hua
phul aae na pattiyan aain

main ne furqat mein aahen kin do-chaar
log samjhe ki aandhiyan aain

kal se dil ko jo kal nahin padti
yaad kis ki kalaiyan aain

main ne likkhe yahan se matlab-e-dil
wan se likh likh ke galiyan aain

rukh pe boson ke ban gae hain nishan
ghaza maliye ki jhaiyan aain

hasb-e-wada jo kal na aae tum
dil mein lakhon buraiyan aain

aaya gulshan mein jab wo sarw-e-sahi
gird phirne ko qumriyan aain

apne jine se ho gai nafrat
yaad kis ki rukhaiyan aain

ji na lagna tha hasraton ke baghair
khush hua dil saheliyan aain

dil tadapne laga jo sine mein
yaad kis but ki shokhiyan aain

ashk-e-hasrat nikal pade 'anjum'
uttho uttho ki bundiyan aain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close