juda wo hote to hum unki justuju karte

juda wo hote to hum un ki justuju karte
alag nahin hain to phir kis ki aarzu karte

mila na hum ko kabhi arz-e-haal ka mauqa
zaban na chalti to aankhon se guftugu karte

agar ye jaante hum bhi unhin ki surat hain
kamal-e-shauq se apni hi justuju karte

jo khak chaak-e-jigar hai to purze purze dil
junun ke hosh mein kis kis ko hum rafu karte

dil-e-hazin ke makin tu agar sada deta
teri talash kabhi hum na ku-ba-ku karte

kamal-e-josh-e-talab ka yahi taqaza hai
hamein wo dhundte hum un ki justuju karte

namaz-e-ishq tumhaari qubul ho jati
agar sharab se tum ai 'ratan' wazu karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close