julus-e-tegh-o-alam jaane kis dayar ka hai pas-e-ghubar bhi ek silsila ghubar ka hai khala-e-jaan ka safar aur phir tan-e-tanha ye rasta bhi bade jabr o ikhtiyar ka hai tum aa gae ho to mujh ko zara sambhalne do abhi to nashsha sa aankhon mein intizar ka hai muqam-e-be-khabari hai yahan se kitni dur ki shahr-e-dil mein bada shor shahryar ka hai nahin hai sahl meri tarz par ghazal kahna shiar ye kisi yakta-e-rozgar ka hai