jun chaman ke dekh bulbul khush hua bolte har phul par mazmun-nawa yun hawas le dil pe viran bagh ke bis badi par kare kaga kawa u he qane phul ke yak bas par u na samajya ang bhar laya chuwa chaal ikas ki na yak kun aaegi is sukhan par hanste hans bolya kawa han are taqlid sun ho dur ba-yak nin musalmani mein taqlidi rida aah us bhuke pe sau afsos hai nan kachi hai talag phute tawa mil ke uchh har haal mein 'bahri' are narm sun jun mom sakhti sun lahwa