jun fauj ki maftuh ho zanjir mein aawe

jun fauj ki maftuh ho zanjir mein aawe
alfaz ka lashkar meri tahrir mein aawe

ek khas inayat hai ki dete nahin mujh ko
wo dard ki jo panja-e-tadbir mein aawe

yaksar rag-e-mansur ki himmat se pare hai
wo ilm ki ek arsa-e-taqtir mein aawe

jo chahe bhare main ne musawwir se kaha tha
kuchh rang-e-mohabbat meri taswir mein aawe

wo baat khusha deta hai dil jis ki gawahi
ye kya ki kaho agli asatir mein aawe

jo hukm tumhaara hai wo wajib hai bila-shak
jo arz hamari hai wo tazir mein aawe

hai garche bahut mere liye khwab ki duniya
kuchh aur maza khwab ki tabir mein aawe

jis pas mudawa nahin kuchh aab-o-hawa ka
lazim hai mere halqa-e-taqrir mein aawe

mumkin nahin aadam ke liye shan-e-khudai
han yun ki magar aaya-e-tathir mein aawe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close