junun-e-awwalin shaistagi thi wahi pahli mohabbat aakhiri thi jahan hum phir se basna chahte the wo basti ho ke duniya ho chuki thi kushada the bahut bazu-e-wahshat ye zanjir-e-khirad uljhi hui thi kabhi har lafz ke sau sau maani kabhi puri kahani an-kahi thi sahar aaghaz-e-shab itmam-e-hujjat ajab 'zahra' ki waz-e-zindagi thi