junun-e-ishq jise sar-phira bana dega

junun-e-ishq jise sar-phira bana dega
pahad kat ke wo rasta bana dega

khumar-e-husn salamat rakhe khuda us ka
jahan wo chahe wahan mai-kada bana dega

usi ke qabza-e-qudrat mein hain sabhi ke dil
wo jis ko chahe use parsa bana dega

ghira hua mujhe dekhega jab nadamat mein
wo meri aah ko harf-e-dua bana dega

mera zamir hi ab mera rahnuma thahra
ye har maqam pe mujh ko bada bana dega

jo dekh lega tumhein koi manchala mausam
tumhaari zulf se kali ghata bana dega

tu dusron se hai bartar na ye samajh 'rahbar'
ye e'tibar tujhe khokhla bana dega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close