junun ki rakh se manzil mein rang kya aae

junun ki rakh se manzil mein rang kya aae
mata-e-dard to hum rah mein luta aae

wo gard udai kisi ne ki sans ghutne lagi
hate ye rah se diwar to hawa aae

kisi maqam-e-tamanna se jab bhi palte hain
hamare samne apne hi naqsh-e-pa aae

numu ke bojh se shakhen na tut jaen kahin
tum aao to koi ghuncha khile saba aae

ye dil ki pyas ye duniya ke fasle 'baqi'
bahut qarib se ab to koi sada aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close