junun pe chhoD di ab sari zindagi maine

junun pe chhod di ab sari zindagi main ne
khirad ko aag laga di abhi abhi main ne

faqir-e-shahr ke shajre ko dekhne ke baad
amir-e-shahr ki dastar khinch li main ne

hawaen itni khunuk thin ke khun jamne laga
to tapte sehra ki kuchh ret odh li main ne

tilism tuta parinde se shahzadi bani
jo sar mein kil thuki thi nikal di main ne

guzarishon ko na mano magar ye yaad rakho
kai sunae hain farman-e-tughlaqi main ne

buni gai thi jo khwahish ke tane-bane se
mazar-e-dil se wo chadar utar di main ne

mere charaghon wasiyyat to dekh lo meri
tumhaare hisse mein likh di hai raushni main ne

'nawaz' is liye rahta hai wo khafa mujh se
ke us ki baat pe hami nahin bhari main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close