kab ghair hua mahw teri jalwagari ka

kab ghair hua mahw teri jalwagari ka
tu puchh mere dil se maza be-khabari ka

sauda jo gul-o-lala ko hai jeb-dari ka
adna ye shagufa hai nasim-e-sahari ka

kis ne lab-e-baam aa ke dikhaya rukh-e-raushan
khurshid mein hai rang charagh-e-sahari ka

apni ye ghazal hai ki paristan-e-sukhan hai
parwaz-e-mazamin mein hai andaz pari ka

kuchh kam nahin nazuk mere mazmun-e-kamar se
shohra hai baja yar ki nazuk-kamari ka

ek raat bhi ai mah na jagi meri qismat
sunta tha bahut shor dua-e-sahari ka

jis ne mujhe aagah kiya haal-e-jahan se
kya lutf jamadat ko hai be-khabari ka

ghurbat mein mila lutf kahin badh ke watan se
hasil jo hua tujh se maza ham-safari ka

us mah ki mahfil mein jo hai qahqaha-zan aaj
hota hai bat-e-mai pe guman kabk-e-dari ka

quran kahe deta hai ki hum haq ki zaban hain
hota hai juda taur kalam-e-bashri ka

aadam ki to man bhi na thi ai munkir-e-eajaz
isa ko mila sirf sharaf be-pidri ka

sarw-e-qad-e-dilbar ki jo taswir hai dil par
ham-sang nahin lal-e-aqiq-e-shajari ka

aankhen hain hasinon ki tere sabza-e-rukh par
kyunki na ho mailan ghazalon ko chari ka

chal tu bhi 'asar' le ke mata-e-dil-e-betab
wo dekhne jate hain tamasha guzari ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close