kab hawa muTThi mein aati hai abas dauDa kiya

kab hawa mutthi mein aati hai abas dauda kiya
jaane kya kya kal yunhi main raat-bhar socha kiya

ab to is tark-e-talluq mein mujhe bhi lutf hai
jo kiya tum ne meri khatir bahut achchha kiya

jaise wo bhi falsafe ke nukta-e-pechida hon
meri baaten mere badle ghair se samjha kiya

phir mujhe daryaft karne ki use hasrat rahi
wo mujhe dimak lage auraq mein dhundha kiya

khu mein chahe tund ho dil se nihayat nek hai
bhul kar sab pichhli baaten mere pas aaya kiya

tishnagi mera muqaddar hai mujhe pani se kya
jaanta tha phir bhi khema nahr par barpa kiya

kal wahi shab thi jo aati hai nasibon se magar
aur sab sote rahe bas ek main jaga kiya

jab nai aawaz utthi qatl karne aae log
ek madari sanp ka sar man kar kuchla kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close