kab KHamoshi ko mohabbat ki zaban samjha tha main

kab khamoshi ko mohabbat ki zaban samjha tha main
tha ayan wo raaz-e-dil jis ko nihan samjha tha main

sun raha hun apni khamoshi ka charcha ku-ba-ku
thi fughan wo bhi jise zabt-e-fughan samjha tha main

aarzi sa aks tha ek iltifat-e-dost ka
jis ko nadani se aish-e-jawedan samjha tha main

tum ne aankhen pher lin mujh se to ye mujh par khula
khar-zar-e-zindagi ko gulistan samjha tha main

wo bhi nikle barq-o-baad-o-baghban ki milkiyat
chaar tinke jin ko apna aashiyan samjha tha main

kar saken 'darshan' na wo bhi arz-e-haal-e-arzu
jin nigahon ko mohabbat ki zaban samjha tha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close