kab tak phirunga hath mein kasa uTha ke main

kab tak phirunga hath mein kasa utha ke main
ji chahta hai bhag lun duniya utha ke main

hoti hai nind mein kahin tashkil-e-khadd-o-khal
uthta hun apne khwab ka chehra utha ke main

baad az sada-e-kun hui taqsim-e-hast-o-bud
phirta tha kaenat akela utha ke main

kyunkar na sahl ho mujhe rah-e-dayar-e-ishq
laya hun dasht-e-najd ka naqsha utha ke main

badhne laga tha nashsha-e-takhliq-e-ab o khak
wo chaak utha ke chal diya kuza utha ke main

hai saat-e-visal ke malne pe munhasir
kas samt bhagta hun ye lamha utha ke main

qurbat-pasand dil ki tabiat mein tha tazad
khush ho raha hun hijr ka sadma utha main

ab mujh ko ehtimam se kije supurd-e-khak
ukta chuka hun jism ka malba utha ke main

achchha bhala to tha tan-e-tanha jahan mein
pachhta raha hun khalq ka beda utha ke main

'azar' mujhe madine se hijrat ka hukm tha
sahra mein le ke aa gaya khema utha ke main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close