kab talak shadabi-e-fikr-o-nazar kaam aaegi

kab talak shadabi-e-fikr-o-nazar kaam aaegi
gile kapde se hawa pani uda le jaegi

bhagte ghode ki rasen khinchne se faeda
dubte suraj ki kya raftar kam ho jaegi

zehan par phaila rakhe hain jhinguron ne daere
aaj jo bhi baat sochunga mujhe uljhaegi

tak rahe hain kis ki jaanib najam kheme gad kar
dhup niklegi to pahle mere ghar mein aaegi

khil utha hun aaj main bhi us ki surat dekh kar
ye ghadi jab aaegi mujh ko yunhi mahkaegi

fasl suraj mein ugi hai tamtamati hai zamin
ye kahani pyar karne se samajh mein aaegi

jism ki putli ko raushan kar ke duniya se guzar
aankh khwahish ki nazar rakhti hai dhoka khaegi

zard patte ki tarah be-ghar pada hun rah mein
zard patte ko koi shakh-e-hawa apnaegi

mittiyon ki tah mein moti paniyon par daere
sochta hun kaun si daulat mere hath aaegi

sath leti ja hamein bhi dubte suraj ki dhup
raat ke ghaaron mein teri yaad hum ko aaegi

wo bhi khushbu ki tarah khud se alag rahne laga
jaane ye mauj-e-khayal us ko kahan le jaegi

khil rahi hai khwahishon ki dhup sare jism mein
aankh kholunga to ye taswir bhi kho jaegi

bastiyon mein jangalon mein wadiyon mein koh mein
meri khushbu meri dhadkan meri aahat jaegi

kitni taswiren mere andar se ubharengi 'khalil'
jab teri aawaz kanon se mere takraegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close