kaba hai kabhi to kabhi but-khana bana hai ye dil bhi ajab chiz hai kya kya na bana hai jis roz se dil aap ka diwana bana hai ek lafz bhi nikla hai to afsana bana hai ye aaj ka din hashr ka din to nahin yarab apna tha jo kal tak wahi begana bana hai tinkon ka to bas nam hai sachchai yahi hai ek jehd-e-musalsal hai jo kashana bana hai takhrib ke parde mein hi tamir hai saqi shisha koi pighla hai to paimana bana hai takmil-e-wafa hosh mein mumkin hi nahin tha diwana samajh bujh ke diwana bana hai duniya mein koi mol na tha 'shauq' ka lekin qismat hai jo sang-e-dar-e-jaanana bana hai