kabhi apnon ki yurish thi kabhi ghairon ka rela tha tere milne ki khatir hum ne kya kya dukh na jhela tha mere ahbab kya be-waqt mere pas aa baithe ghata ghanghor thi wo apne kamre mein akela tha hamara sham-e-tanhai mein pursan hi na tha koi wo jis mahfil mein jate the wahin yaron ka mela tha mohabbat ki junun-angeziyon se hum bhi waqif hain jawani mein jawano hum ne bhi ye khel khela tha udhar wo the ki thi ek daulat-e-bedar pas un ke idhar hum the ki apni jeb mein paisa na dhela tha hui muddat ki un ko khwab mein bhi ab nahin dekha main jin galiyon mein apne doston ke sath khela tha jawani mein hamari tund-khui ek aafat thi hamare dam se har mahfil mein jhagda tha jhamela tha 'hamid' us chah-e-gham se aaj tak bahar nahin aaya azizon ne use muddat hui jis mein dhakela tha