kabhi azab kabhi ek taziyana hai hamara dur guzishta ka shakhsana hai bas ek wada-e-farda pe log zinda hain bas ek lamha-e-maujud aab-o-dana hai tanazuraat yahan to badalte rahte hain tumhaara nek rawayya bhi mujrimana hai ab aisi dhund mein mujh ko dikhai kya dega hai bas mein tir na qabu mein wo nishana hai wo sang-e-rah bhi taza hawa ka jhonka bhi kabhi qayam kabhi har taraf rawana hai