kabhi gunahon ki mutlaq kafan utar ke aa tu ujli ruh se maila badan utar ke aa jo mere wasl ka ehsas tujh pe tari hai kisi ke lams ki sari chhuwan utar ke aa nai hayat ke kapde liye hai maut khadi purana zindagi ka pairahan utar ke aa nazar mein sharm haya ka bhi pas baqi rahe nazar ki shokhiyon ko gul-badan utar ke aa nai bahaar ne paigham ye hawa ko diya gulon ke tan se khizan ka kafan utar ke aa hamesha udte hain tair tere tasawwur ke kabhi to zehn se fikr-e-sukhan utar ke aa