kabhi kabhi koi chehra ye kaam karta hai

kabhi kabhi koi chehra ye kaam karta hai
mere badan mein lahu tez-gam karta hai

har ek lafz ko mah-e-tamam karta hai
meri zaban se jab wo kalam karta hai

kai dinon ke safar se main jab palatta hun
wo apne pure badan se kalam karta hai

bahut aziz hain us ko bhi chhuttiyan meri
wo roz koi naya ehtimam karta hai

shikayaton ki ada bhi badi nirali hai
wo jab bhi milta hai jhuk kar salam karta hai

main mushtahar hun sitamgar ki mehrbani se
wo apne sare sitam mere nam karta hai

kisi ke hath mein khanjar kisi ke hath mein phul
qalam hai ek magar kitne kaam karta hai

jab us se milta hun daftar ko bhul jata hun
'zafar' wo baaton hi baaton mein sham karta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close