kabhi kabhi to mohabbat ki zindagi ke liye

kabhi kabhi to mohabbat ki zindagi ke liye
khud un ko hum ne ubhaara hai barhami ke liye

kiya hai kaam bada zindagi mein ashkon ne
diye jalae shab-e-gham mein raushni ke liye

wo aaj bhi hain usi tirgi ki manzil mein
ujala mang ke lae jo raushni ke liye

ada-e-jaur-e-mohabbat mein nagawar nahin
khulus chahiye ai dost barhami ke liye

ye daur wo hai ki apne hain ghair se bad-tar
kaleja chahiye apnon se dosti ke liye

dalil-e-azmat-e-insan hai ye nizam-e-jahan
zamin hai gardish-e-paiham mein aadmi ke liye

hamare haal-e-pareshan pe kash ek nazar
bhare hain rup ye hum ne teri khushi ke liye

ye zindagi bhi ajab zindagi hai kya kahiye
'matin' thokaren khate hain hum khushi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close