kabhi to aa ke milo mera haal to puchho

kabhi to aa ke milo mera haal to puchho
ki mujh se chhut ke bhi aaj kaise zinda ho

jawaniyon ki ye rut kis tarah guzarti hai
bas ek bar tum apni nazar se dekh to lo

wo aarzuon ka mausam to kab ka bit chuka
main kab se jhel raha hun dukhon ke sahra ko

masarraton ki ruten to tumhaare sath gain
main kaise dur karun ruh ki udasi ko

guzar na jao sar-e-rah ajnabi ki tarah
tumhaara khwab hun main tum to mujh ko pahchano

jo ja chuke wo musafir na aaenge arman
bas ab to dafn karo nim-jaan umidon ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close