kabhi to soch tere samne nahin guzre

kabhi to soch tere samne nahin guzre
wo sab samay jo tere dhyan se nahin guzre

ye aur baat ki hun un ke darmiyan main bhi
ye waqiye kisi taqrib se nahin guzre

un aainon mein jale hain hazar aks-e-adam
dawam-e-dard tere ratjage nahin guzre

supurdagi mein bhi ek ramz-e-khud-nigah-dari
wo mere dil se mere waste nahin guzre

bikharti lahron ke sath un dinon ke tinke bhi the
jo dil mein bahte hue ruk gae nahin guzre

unhen haqiqat-e-dariya ki kya khabar 'amjad'
jo apni ruh ki manjdhaar se nahin guzre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close