kabhi to yaad ke gul-dan mein sajaun use

kabhi to yaad ke gul-dan mein sajaun use
kabhi wo samne bhi ho to bhul jaun use

khile jo hain meri shakh-e-khayal par kuchh gul
usi ka khel hai ye kis tarah bataun use

wo khushbuon ki tarah aae aur ud jae
main kaise pairahan-e-zehn mein basaun use

pata to ho ki hai kya karb-e-zakhm-e-nazzara
na dekhna jise chahe wahi dikhaun use

wo harf-e-sokhta sath-e-zaban tak aae to
main apne lahja-e-raushan se jagmagaun use

usi ke rang ka pahna agar libas to kya
usi ki tarz mein ab sher bhi sunaun use

agar hai ishq to phir aisa ishq ho 'baqar'
wo gungunae mujhe aur main gungunaun use


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close