kabhi tumne bhi ye socha ki hum fariyaad kya karte

kabhi tum ne bhi ye socha ki hum fariyaad kya karte
tumhaara dil dukha kar apne dil ko shad kya karte

meri barbaadiyon par hansne walo ye to samjha do
jo mil jata tumhin ko ye dil-e-barbaad kya karte

nigah-e-yas mein jab nala-e-khamosh pinhan hai
to phir honthon ko hum sharminda-e-faryaad kya karte

dam-e-akhir bhi ai dil khud-farebi hichkiyan kaisi
jo danista bhula baithe wo tujh ko yaad kya karte

mujhe dekha to har ek ne unhen jallad thahraya
unhen dekha to bole ye bhala bedad kya karte

zamana jaanta hai hazrat-e-'nakhshab' ki khud-dari
khilaf-e-aql hai wo aarzu-e-dad kya karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close