kabhi yahan liye hue kabhi wahan liye hue

kabhi yahan liye hue kabhi wahan liye hue
phiri hai justuju teri kahan kahan liye hue

zamin-e-dil ki khak hai sad-asman liye hue
tanazzulat-e-ishq mein taraqqiyan liye hue

dil o jigar liye hue mata-e-jaan liye hue
kisi ka nawak-e-nazar talashiyan liye hue

usi gali se aai hai shamim-e-zulf lai hai
nasim-e-subh aai hai tasalliyan liye hue

mere gham-e-nihan mein hai nawed-e-ishrat-afrin
bahaar hi bahaar hai meri khizan liye hue

hamari aah ke sharar hamin ko phunkne lage
hawa ke jhonke aae sath bijliyan liye hue

teri gali mein mah-ru pade hue hain chaar-su
tamam zarre khak ke tajalliyan liye hue

na qurb-e-gul ki tab thi na hijr-e-gul mein chain tha
chaman chaman phire hum apna aashiyan liye hue

nigah-e-ahl-e-raaz mein haqiqat o majaz mein
hamari be-nishaniyan tera nishan liye hue

uthe hain hashr mein fida-e-ku-e-yar is tarah
jabin mein sajde dil mein yaad-e-astan liye hue

na dil milega 'bedam' aur na dil ki hasraten kahin
ki gum hua hai yusuf apna karwan liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close