kabhi zaKHm zaKHm nikhar ke dekh kabhi dagh dagh sanwar ke dekh

kabhi zakhm zakhm nikhar ke dekh kabhi dagh dagh sanwar ke dekh
kabhi tu bhi tut meri tarah kabhi reza reza bikhar ke dekh

sar-e-khar se sar-e-sang se jo hai mera jism lahu lahu
kabhi tu bhi to mere sang-e-mil kabhi rang mere safar ke dekh

isi khel se kabhi paega tu gudaz-e-qalb ki neamaten
kabhi ruth ja kabhi man ke dekh kabhi jit ja kabhi har ke dekh

ye padi hain sadiyon se kis liye tere mere beach judaiyan
kabhi apne ghar tu mujhe bula kabhi raste mere ghar ke dekh

tujhe aaine mein na mil sakega teri adaon ka bankpan
agar apna husn hai dekhna to meri ghazal mein utar ke dekh

wahi mera dard rawan-dawan wahi tera husn jawan jawan
kabhi 'mir'-o-'dard' ke bait padh kabhi sher 'dagh'-o-'jigar' ke dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close