kafan ki jeb bhi khali nahin hai ye bad-hali hai khush-haali nahin hai to kya ye phul khud hi khil gaya tha jo kahta hai koi mali nahin hai unhen mat dekh khush rahne de un ko teri khatir ye diwali nahin hai teri taswir jhuti hai musawwir mere shahron mein hariyali nahin hai wo ghar girne laga hai jis ki hum ne abhi buniyaad bhi dali nahin hai to kya mujh ko saza dega wo jis ne meri ek baat bhi tali nahin hai tere bare mein jab socha to dekha ye raat aisi bhi ab kali nahin hai na kar 'momin' yahan koi tamasha ye duniya dekhne wali nahin hai