kaha tha usne mohabbat ki aabru rakhna

kaha tha us ne mohabbat ki aabru rakhna
chubhe hon kitne bhi kante gulon ki khu rakhna

dilon ko tod na dale tumhaari haq-goi
bajae harf ke aaina ru-ba-ru rakhna

jo waqt ahl-e-wafa se kabhi lahu mange
to sab se pahle lab-e-tegh par gulu rakhna

khizan se haar na jaana kisi bhi haalat mein
numu mile na mile khwahish-e-numu rakhna

bura na kahna zamane ko hum zamana hain
hamare baad zamane se guftugu rakhna

faqih-e-shahr ke fatwe ki haisiyat kya hai
to khud ko apni nigahon mein surkh-ru rakhna

visal-e-dost ki saat bhi aane wali hai
sahar qarib hai 'akbar' abhi wazu rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close