kahan giraft mein ab mah-o-sal ke mausam

kahan giraft mein ab mah-o-sal ke mausam
bikharte jate hain tere visal ke mausam

tere jawab ke waqfe tawil kitne hain
guzarte jate hain mere sawal ke mausam

har ek phul kali ko bula raha hai qarib
chaman mein aae hain ab ke kamal ke mausam

main dubti hun kinaron pe aur kahti hun
kabhi na dekhe the aise zawal ke mausam

tu apni aankh mein tab-e-bahaar la to sahi
jahan bhar mein hain husn-o-jamal ke mausam

ki jaise zehn mein ahd-e-khizan utar aaya
bahut hi zard hue hain khayal ke mausam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close