kahan kisi ki nazar hai teri nazar ki tarah

kahan kisi ki nazar hai teri nazar ki tarah
jo kaam dil ka bhi karti chale jigar ki tarah

bahut se aise bhi duniya mein log milte hain
jo ba-khabar hain magar hain wo be-khabar ki tarah

ye barbariyat-o-wahshat ye aag aur ye dhuan
bashar ko rahna bhi mushkil hai ab bashar ki tarah

asir-e-hur hain waiz ab un ki kaun sune
kahani aap ki hai tul-e-mukhtasar ki tarah

barasne ko to barasta hai abr-e-naisan bhi
magar baras na saka meri chashm-e-tar ki tarah

na jaane kaun se aalam mein gum hua 'asi'
na ba-khabar ki tarah hai na be-khabar ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close