kahan kisi ko dikhai gai hai KHamoshi

kahan kisi ko dikhai gai hai khamoshi
baghair jism banai gai hai khamoshi

tazad ye hai bana kar khanakti mitti se
mere lahu mein milai gai hai khamoshi

bala ka shor undela gaya hai kanon mein
magar zaban ko sikhai gai hai khamoshi

zamin pe is ka guzara nahin tha is bais
khala ke beach basai gai hai khamoshi

kuchh is liye bhi hua shor-e-bazm-e-mai ki unhen
ghazal bana ke sunai gai hai khamoshi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close