kahan mumkin hai poshida gham-e-dil ka asar hona

kahan mumkin hai poshida gham-e-dil ka asar hona
labon ka khushk ho jaana bhi hai aankhon ka tar hona

ghazab mil kar juda mujh se tera o fitna-gar hona
sitam nalon ka pur-tasir ho kar be-asar hona

jigar mein dard lab par nala-e-wahshat asar hona
ayan karta hai ek rashk-e-pari ka dil mein ghar hona

ghazab nala-kashi ek sahib-e-ismat ke kuche mein
sitam ai dil kisi parda-nashin ka parda-dar hona

wo un ka chupke chupke muskurana khun rone par
wo mera dil hi dil mein wasif-e-rang-e-asar hona

jo tanha pas manzil dil ko shayan hai mohabbat mein
to aankhon ko hai lazim dida-e-hasrat-nagar hona

qayamat tha sitam tha qahr tha khalwat mein o zalim
wo sharma kar tera meri baghal mein jalwa-gar hona

sitam ki jaur ki bedad ki kafi shahadat hai
judai mein mera betab be-khud be-khabar hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close