kahan se manzar sameT lae nazar kahan se udhaar mange

kahan se manzar samet lae nazar kahan se udhaar mange
riwayaton ko na maut aae to zindagi intishaar mange

safar ki ye kaisi wusaten hain ki rasta hai na koi manzil
thakan ka ehsas bhi na utre qadam qadam rahguzar mange

talash ke bawajud sach hai ki mere hisse mein kuchh na aaya
ki main ne khushiyan hazar dhundin ki dard main ne hazar mange

agar wo dena hi chahta hai to manzilon ka suragh de de
agar use mangna hi thahre to raston ka ghubar mange

kabhi achanak hi gher lete hain rah mein na-guzir lamhe
koi kahan tak panah dhunde koi kahan tak farar mange

sazaen tajwiz kar ke rakkho ye ek lamha-e-fikriya hai
ki koi 'balraj' apni marzi se jine ka ikhtiyar mange


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close