kahan the shab idhar dekho haya kyun hai nigahon mein

kahan the shab idhar dekho haya kyun hai nigahon mein
agar manzur hai rakh lo mujhe jhute gawahon mein

muwahhid wo hun gar main sirr-e-wahdat kan mein kah dun
muazzin but-kade mein hon barahman khanqahon mein

nazar mujh se chura kar munh chhupa kar kahte jate hain
ki ye chori bhi likkhi jaegi tere gunahon mein

siyahkari meri ban jae rashk-e-gesu-e-khuban
qayamat ko chhupa baitha rahun yarab gunahon mein

wahi 'rasikh' to hain kal tak jo maikhane ke darban the
bane baithe hain hazrat chaar din se din-panahon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close