kahin bhi ja ke basera karen udhar hi ke hain

kahin bhi ja ke basera karen udhar hi ke hain
hamare sare hawale hamare ghar hi ke hain

hamari sans talak hi hamara wirsa hai
hamare khwab bhi aankhon mein raat bhar hi ke hain

main in se tut ke karta hun pyar kyun na karun
ye sare phul ye patte mere shajar hi ke hain

wo jis ko chahe bana de kalam-e-fan ki misal
tamam moajize us dast-e-kuza-gar hi ke hain

teri nazar se tere dil tak aane jaane mein
jo fasle hain wo lagta hai umr bhar hi ke hain

karun to kaise karun main teri gali mein qayam
mere to jo bhi sitare hain wo safar hi ke hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close