kahin dariya nahin hota kahin sahra nahin hota

kahin dariya nahin hota kahin sahra nahin hota
zarurat par hamari koi bhi apna nahin hota

kahani khatm ho jati koi sadma nahin hota
bichhadte waqt wo chhup kar agar roya nahin hota

batao kaun si shai ki kami hai mere paikar mein
mujhe samjhao mera aks kyun samjha nahin hota

tumhaari yaad ke sae mein yun har-waqt rahta hun
main tanha rah bhi jaun to kabhi tanha nahin hota

mohabbat mein yahi nazargi to lutf deti hai
koi khidki nahin hoti koi parda nahin hota

tasalli aur dilase sab ke sab be-kar jate hain
na jaane kis tarah bikhra hun main yakja nahin hota

use tum dhup mein barsat mein kohre mein rakh dekho
'pawan' wo aaina hai jo kabhi dhundhla nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close