baiThe hue hain hum KHud aankhon mein dhul Dale

baithe hue hain hum khud aankhon mein dhul dale
ai ru-e-yar tu ne parde fuzul dale

jhagda hi tum chuka do jab tegh khinch li hai
aafat mein phir na mujh ko jaan-e-malul dale

surat to ek hi thi do ghar hue to kya hai
dair-o-haram ki babat jhagde fuzul dale

turbat se koi puchhe nairangi-e-zamana
bazon ne khak dali bazon ne phul dale

kahte hain jis ko jalwa wo bhi kahin ruka hai
aaden fuzul ki hain parde fuzul dale

sadqe dil-o-jigar ko mizhgan pe kar chuka hun
main ne to apne hathon kanton pe phul dale

kaise hisab jodun aamal-e-masiyat ka
jab us ki shan-e-rahmat ginti mein bhul dale

'muztar' dilon ke andar rakhne ke the ye kafir
dozakh mein kyun khuda ne jannat ke phul dale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close