kahin faza mein koi abr tairna to chahiye

kahin faza mein koi abr tairna to chahiye
kahan hawaen kho gai hain sochna to chahiye

ye aur baat bagh bagh kar gain tabiaten
zara qarib se hansi ko dekhna to chahiye

ye maslahat bhi kya ki dil ki wusaten hon munjamid
ragon mein zindagi ka khun daudna to chahiye

main in udasiyon ko in rafaqaton ko kya karun
kiran ko jagna hawa ko bolna to chahiye

unhen bhi nok-e-sang se zara hila ke dekh lun
ki paniyon ka ye sukut todna to chahiye

ye kya hua badha ke silsile mujhe bhula diya
kahin mile to 'jafar' us se puchhna to chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close