kahin par subh rakhta hun kahin par sham rakhta hun

kahin par subh rakhta hun kahin par sham rakhta hun
phir is be-rabt se khake mein khud se kaam rakhta hun

saliqe se main us ki guftugu ka lutf leta hun
aur us ke ru-ba-ru dil mein khayal-e-kham rakhta hun

ba-zahir madh se us ki kabhi thakta nahin lekin
darun-e-khana-e-dil khwahish-e-dushnam rakhta hun

khush aai hai abhi to qaid-e-khwahish is kharabe mein
abhi khud ko rahin-e-gardish-e-ayyam rakhta hun

safar ki subh mein ranj-e-safar ki dhul udti hai
had-e-aghaz mein andesha-e-anjam rakhta hun

firaq o wasl se hat kar koi rishta hamara hai
ki us ko chhod pata hun na us ko tham rakhta hun

dalil-e-khwab-e-masti hai teri aamadgi imshab
magar is shab mein tujh se aur koi kaam rakhta hun

tajawuz se bhala kab tak guzar auqat mumkin thi
so apne khun tak shor-e-dil-e-badnam rakhta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close