kahin par zulm ke shoale kahin par khud-parasti hai chaman ki aabru khatre mein hai ye baat sachchi hai wo ghola zahr nafrat ka siyasat ne fazaon mein gulon ki aankh se shabnam lahu ban kar tapakti hai baghawat par agar hum log utar aae to kya hoga abhi to hum ne rassi sabr ki ye tham rakkhi hai wahan insaf ki ummid le kar ja rahe ho tum jahan qanun ne aankhon se patti bandh rakkhi hai tadapta hun bichhad kar aap se kuchh is tarah 'jauhar' bina pani ke jaise ret pe machhli tadapti hai