ek turfa tamasha sar-e-bazar banega

ek turfa tamasha sar-e-bazar banega
jo shakhs bhi aaina-e-kirdar banega

ye baat bhi tai ho gai dahshat-zadagan mein
jo sang-ba-dast aaega sardar banega

rangon se na rakhiye kisi surat ki tawaqqo
wo khun ka qatra hai jo shahkar banega

main us ke panapne ki dua mang raha hun
bachche ke ye tewar hain ki fankar banega

phir lakht-e-jigar koela le aaya kahin se
ab dekhiye kya kya sar-e-diwar banega

yaksui se jab us ki taraf dekhoge 'ashar'
kuchh der mein mahtab rukh-e-yar banega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close