kahin se bas nae mausamon ki lati hui

kahin se bas nae mausamon ki lati hui
hawa-e-taza dar-e-nim-wa se aati hui

ba-taur-e-khas kahan is nagar saba ka warud
kabhi kabhi yunhi rukti hai aati jati hui

main apne dhyan mein gum-sum aur ek saat-e-shokh
guzar gai meri haalat pe muskuraati hui

sarab-e-khwahish-e-asudgi magar koi shai
mili nahin hai tabiat se mel khati hui

lahu mein tairti khamoshiyon ke sath kahin
rawan-dawan hai koi chikh sansanati hui

yahan wahan hain kai khwab jagmagate hue
kahin kahin koi tabir timtimati hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close