kahin se bhi suKHan-e-moatabar nahin aata

kahin se bhi sukhan-e-mo'atabar nahin aata
nazar hamein koi ahl-e-nazar nahin aata

hawa-e-dasht ye tasir-e-khud-faramoshi
bahut dinon se tasawwur mein ghar nahin aata

ajab shanawar-e-bahr-e-wajud hain hum bhi
hamein zaman-o-makan ka safar nahin aata

lahu se lafz ki takhliq hum nahin karte
jabhi to apne bayan mein asar nahin aata

ye sochte hain ki manzil-rasi se kya hasil
jab apne sath koi ham-safar nahin aata

ye arsa-gah-e-talab qurbaton ki duniya hai
yahan hum aisa koi be-hunar nahin aata

dariche roz hi khulte hain band hote hain
magar wo chehra-e-rangin nazar nahin aata

hijab kaun sa mane hai kuchh nahin malum
main chahta hun wo aae magar nahin aata

tilism-e-tira-shabi 'lais' kis tarah tute
koi bhi le ke payam-e-sahr nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close