kahin se chand kahin se qutub-numa nikla

kahin se chand kahin se qutub-numa nikla
qadam jo ghar se nikala to rasta nikla

jalaya dhup mein khud ko to ek saya sa
hamare jism ki diwar se laga nikla

tamam-umr bhatakta raha main tere liye
tera wajud hi hasti ka muddaa nikla

tumhaari aankhon mein sadiyon ki pyas dub gai
hamari ruh se ehsas-e-karbala nikla

gurez karne laga hai tere khayal se bhi
hamara dil bhi teri tarah bewafa nikla

mera hi nam kabhi 'mir' tha ghazal walo
nae safar mein bhi mera hi naqsh-e-pa nikla

charagh ghar mein jala chhod kar gae the 'shakil'
safar se laute to sab kuchh bujha bujha nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close