kahin shuur mein sadiyon ka KHauf zinda tha

kahin shuur mein sadiyon ka khauf zinda tha
main shakh-e-asr pe baitha hua parinda tha

badan mein dil tha muallaq khala mein nazren thin
magar kahin kahin sine mein dard zinda tha

phir ek raat mujhi par jhapat pada mera zabt
jise main pal raha tha koi darinda tha

khushi ne hath badhaya tha meri jaanib bhi
magar wahan jahan har shakhs gham-kuninda tha

nabard-e-ishq mein kya kya jigar kiya 'tauqir'
hawa ka lams bhi jab intiqam-e-hinda tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close