kahin thahar ke na rah jaen dhadkanen dil ki mizaj-e-dost hai aamada barhami ke liye nashat-e-zist mayassar nahin to kya gham hai gham-e-hayat hi kafi hai zindagi ke liye bahaar-e-nau ne tabassum gulon se chhin liya chaman mein phul taraste hain ek hansi ke liye