kahin thi rakh kahin tha dhuan kahin thi aag

kahin thi rakh kahin tha dhuan kahin thi aag
falak dhaka tha sitaron se jab zamin thi aag

jame hue lab-o-rukhsar bhi dahak rahe the
hisar-e-mausam-e-barfab mein hasin thi aag

hudud-e-jism se bahar nikal ke sard lagi
quyud-e-jism mein thi jab tak thi bar-tarin thi aag

adawaton mein nae rang bhar raha tha wo
baghal mein sanp the aur zer-e-astin thi aag

tera thethurta badan bhi bujha saka na mujhe
kuchh aise bar-sar-e-sahn-e-badan makin thi aag

shab-e-visal ka ahwal puchhna mat dost
pas-e-qaba-e-ghazab itr-ambarin thi aag

kamal-e-kun ne rakha pyas mein jamal-e-ab
nahin tha jab kahin pani kahin nahin thi aag

safar ka bojh barabar raha hai donon par
jahan jahan bhi tha pani wahin wahin thi aag

wajud-e-lams ki lazzat se na-shanas raha
wo hath sard tha 'haidar' meri jabin thi aag


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close