kahin to aa ke ruke bhi musafiri meri

kahin to aa ke ruke bhi musafiri meri
ki mujh ko dhundhti rahti hai be-ghari meri

main jis ke waste khud ko bhulae baitha hun
usi ko bhul na jae ye sadgi meri

kabhi bhi khul ke kisi se kalam kar na saka
tamam umr faza hi thi ajnabi meri

hai raushni ka hawala paraya des magar
taras rahi hai ujalon ko zindagi meri

bas ek tamanna si rahti hai jo satati hai
yahi ki tujh ko pasand aae shairi meri

wafa ki rah ko is taur se kiya raushan
ki yaad aaegi duniya ko aashiqi meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close