kahin wo chehra-e-zeba nazar nahin aaya gaya wo shakhs to phir laut kar nahin aaya kahun to kis se kahun aa ke ab sar-e-manzil safar tamam hua ham-safar nahin aaya main wo musafir-e-dasht-e-gham-e-mohabbat hun jo ghar pahunch ke bhi soche ki ghar nahin aaya saba ne fash kiya raaz-e-bu-e-gesu-e-yar ye jurm ahl-e-tamanna ke sar nahin aaya kabhi koi tere wadon ka tazkira chhede to kya kahun ki koi nama-bar nahin aaya phir ek khwab-e-wafa bhar raha hai aankhon mein ye rang hijr ki shab jag kar nahin aaya mere lahu ko meri khak-e-naguzir ko dekh yunhi saliqa-e-arz-e-hunar nahin aaya na jaane zabt ke hathon 'sahar' pe kya guzri bahut dinon se wo aashufta-sar nahin aaya