kahkashan ke tanazur mein hum kya hamara sitara hai kya

kahkashan ke tanazur mein hum kya hamara sitara hai kya
an-ginat aaftabon ki aqlim mein ek sharara hai kya

kaun samjhe zaban barg-o-ashjar ki dasht-o-kohsar ki
kaun jaane ki is be-karan khamushi mein ishaara hai kya

hum mohabbat ko ek mansab-e-ashiqana samajhte rahe
ye na socha mohabbat ki saudagari mein khasara hai kya

ye tilism-e-tamasha hai sara jahan ek tilism-e-nazar
raushni ka samundar hain aankhen magar aashkara hai kya

wo hai be-misl us ko usi ke hawale se samjha karo
us ke idrak mein dakhl-e-tashbih kya istiara hai kya

ek mitti ke ghar mein jiye umr bhar aur mitti hue
kul jahan yun to 'akbar' hamare liye par hamara hai kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close